nizam-e-zist kisi tal ka nahin pani jo sang-basta sa thahra hua muqayyad hai har aankh dekh sake jis ki itni bas had hai kare na kuchh bhi jo paida dilon mein hairani nizam-e-zist kisi tal ka nahin pani nizam-e-zist hai lekin wo be-karan pani pahadiyon se jo nikla ho ban ke mastana kisi ki aarzu-e-wasl ka ho diwana yahan se dur bahut dur kohsaron mein daraaz rahon mein dushwar rahguzaron mein wahin jahan ye silen barf ki pighalti hain jahan ubalte hain chashme hawaen chalti hain wahin se to ye nadi nale bahte aate hain jo pattharon ko chatanon ko chir jate hain chattanen kat ke jate hain ye jidhar jaen nikal ke koh se maidan se ye guzar jaen ye ham-kanar hue aur badh gaya pani har ek samt ko phir khelta chala pani ye jangalon mein guzarta to ghatiyon mein kabhi ye phailta kabhi maidan mein wadiyon mein kabhi hui hai jis se bashar ki nazar ko hairani nizam-e-zist hai goya wo be-karan pani