raat mein jab saf hota hai hamara aasman tab zamin ki sath ho jati hai thandi jaan-e-jaan jab hawa chhuti hai is thandi hawa ko shauq se tab hawa thandak se ho jati nami labrez hai jaise hi us mein hararat ki kami aa jati hai bhap wo pani ki chhoti bund mein dhal jati hai chhoti chhoti bund ki shaklon mein aa kar ghas par motiyon ki shakl mein phir wo utar kar ghas par aasman ki os in patton ko chamkane lagi dusre lafzon mein in ko os nahlane chali is se un paudon ko phir se tazgi mil jati hai aur murjhae gulon ko zindagi mil jati hai thandi thandi os par tafrih hoti hai mufid aur sehat ki kuchh na kuchh phir jag jati hai umid is liye bedar ho jao sawere subh ko os par rozana hi daudo sawere subh ko