udas mausam ka bojh uthae hawa ke bazu bhi thak gae hain wo sabz-o-shadab tahniyon par gulon ki khushbu ki gard tah-ba-tah jami hai ye pahli barish ke narm qatre pahadiyon ke bhi sakht sinon ko chir denge ye reza reza bikher denge chatan ki tarh shadid-tar sakht hauslon ko guman hota hai ye afraatafari hai mere andar ki zindagi ki haqiqaton ne khayal ke ab tamam khake mita diye hain ye roz-o-shab ki ghubar-alud sa’aton ne goya haqiqi rang ab uda diye hain ye pahli barish se qatra qatra barasta pani bhi ret ke ek 'azim sailab mein badal kar meri hi aankhon ke kharzaron ke khandaqon mein girega aa kar ki ek muddat se chashm-e-be-khwab mein meri ashk bhi nahin hai nam nahin hai umid-afza kisi kiran ka bharam nahin hai ye sab sazaen hain us khata ki ki waqt ne zehn se tere khal-o-khad mitae hain aur aankhen khayal ki sad-rang duniya mein teri surat se na-ashna hain