pahla paTh
By betab-alipuriMay 27, 2021
bachcho pahla path yahi hai
sab ne ye ek baat kahi hai
subh sawere hum uth jaen
manjan karke khub nahaen
kaam ho pahla ye rozana
pakshiyon ko dalen dana
chyunti ke bil par ho aata
kabhi nahin aaega ghata
paudon ko bhi de den pani
phir khelen hum raja-rani
aao puja-path karen hum
aur kahin na kan dharen hum
lo school ko ab hai jaana
kha len halka sa hum khana
chalo chalen ab bandhen basta
phir dekhen school ka rasta
chit laga kar padhte jaen
sidhi sidhi chadhte jaen
padh likh kar widwan hai banna
desh ki apne shan hai banna
achchhe achchhe kaam karenge
jag mein uncha nam karenge
sab ne ye ek baat kahi hai
subh sawere hum uth jaen
manjan karke khub nahaen
kaam ho pahla ye rozana
pakshiyon ko dalen dana
chyunti ke bil par ho aata
kabhi nahin aaega ghata
paudon ko bhi de den pani
phir khelen hum raja-rani
aao puja-path karen hum
aur kahin na kan dharen hum
lo school ko ab hai jaana
kha len halka sa hum khana
chalo chalen ab bandhen basta
phir dekhen school ka rasta
chit laga kar padhte jaen
sidhi sidhi chadhte jaen
padh likh kar widwan hai banna
desh ki apne shan hai banna
achchhe achchhe kaam karenge
jag mein uncha nam karenge
87116 viewsnazm • English