pahli barish

By suhail-kakorviNovember 22, 2020
arman zamin ke jag uthe dildar ye pahli barish hai
kal soch raha tha sara jahan dushwar ye pahli barish hai
ranjish jo hamare beach rahi to aag falak ne barsai
ab soch na kuchh mausam ko samajh ai yar ye pahli barish hai


fitrat mein nazar aate hain hamein apni hi mohabbat ke pahlu
inkar tha garmi ka aalam iqrar ye pahli barish hai
ehsas judai donon taraf aankhon se meri aansu hain rawan
us par na jaane kaisa saman is par ye pahli barish hai


ghunchon pe ajab shadabi hai aur jag uthi hai hariyali
tamhid bahaar-e-taza ka didar ye pahli barish hai
tu aur kahin main aur kahin aaghosh-e-tamanna suni hai
aisa to kabhi pahle na hua is bar ye pahli barish hai


wo rahm-o-karam hai bil-akhir mujh ko to 'suhail' is par hai yaqin
bas us ki inayat ka yaron izhaar ye pahli barish hai
94966 viewsnazmEnglish