paiman-e-wafa
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
mere ghar ki ye diwaren jaise pi kar baithi hain
mere jalte jalte aansu mere lahu ki barsaton ko
meri tanhai ke andhere mein aa aa kar hanste hain
nanhe nanhe kitne jugnu meri bhigi palkon ke
bujhe diye ki lau rah rah kar aadhi aadhi raaton ko
apni gahri nind se jaise chaunk uthti hai bol uthti hai
aashaon ke sundar mukhde par lali si aa jati hai
murjhae se nil-kanwal ka aur bhi rup nikhar aata hai
dhire dhire shital jal ki lahren saz uthati hain
giton ki nirmal dhaara par dol uthti hai jiwan-nayya
haule haule bahti jae bahti jae chalti jae
samay ki naddi wo naddi hai jo har ek ko par lagae
naddi ke us par khade hain mere bachche mere baale
mere kheton ke sab moti mere khazane ke rakhwale
meri taraf sab hath utha kar jaise khushi se chillate hain
aao aao kitni der se rah tumhaari dekh rahe hain
tum ko aaj ke din suraj ki kirnon mein nahlaenge
aaj hum apni salgirah ka pahla jashn manaenge

57249 viewsnazm • English