panchhi te pardesi

By January 1, 2017
parinde aur pardesi kabhi wapas nahin aate
jila-watnon ke panw ke tale
dharti badi kamzor hoti hai
kabhi rasta nahin hota


kabhi saya nahin hota
shajar ki aarzuen dhup ke aansu bahati hain
magar barish nahin hoti
parinde aur pardesi kabhi wapas nahin aate


duaen gathriyon mein bandh kar
chaukhat pe baithi
maon ke patthar wajudon par
kabhi mitti nahin hoti


kabhi sabza nahin ugta
parinde aur pardesi
agar wapas kabhi aaen to
sare lok giton dastanon


aur mitti mein amanat ki hui aankhon ko
apne sath le jaen!
21623 viewsnazmEnglish