safar mein bhid bahut hai pata nahin chalta ki rasta hai kidhar aur manzilen hain kahan har ek aadmi apni talash mein gum hai magar kisi ko bhi apni khabar nahin milti har ek aankh hai ek dusre se begana har ek chehra hai ek dusre se an-jaana hawa pe chalte hue log thak chuke hain magar kahin thaharne ko koi jagah nahin milti zamin panw ke niche se kho gai hai kahin