papa miyan

By syeda-farhatNovember 22, 2020
papa miyan zamane mein kya nam kar gae
tarikh-e-hind mein wo naya kaam kar gae
mahrum-e-ilm-o-fan thin musalman thin ladkiyan
mahaul ki ghutan se pareshan thin ladkiyan


talim auraton ko mile ye gunah tha
kya kahiye kaisa qaum ka haal-e-tabah tha
papa miyan ke azm ne ye kar dikhaya kaam
jis ko sabhi samajh rahe the ek khayal-e-kham


kya kya mukhalifat ka na tufan sah gae
wo kar dikhaya log sabhi dang rah gae
begam bhi jaan-o-dil se thin un ki rafiq-e-kar
ehsan ladkiyon pe hain un ke bhi be-shumar


pauda jo kal tha ab shajar-e-saya-dar hai
papa miyan ke bagh mein kaisi bahaar hai
phula-phala rahe ye gulistan-e-ilm-o-fan
qaem rahe zamane mein papa ki anjuman


76115 viewsnazmEnglish