hamari duri ke mausamon ko ai jaan-e-jaanan nisab rakhna main tum se milne ko aaunga jab waraq waraq tum kitab rakhna sabhi shikayat yaad kar ke sazaon ka bhi hisab rakhna khalish hai jo bhi tumhaare dil mein mere liye intisab rakhna sawal jitne hon dil mein chubhte unhen faraghat se puchh lena meri mohabbat ka pas karna mujhe mukammal jawab rakhna uthana parde haqiqaton se faqat na mahw-e-sarab rakhna bichhad ke tum se milan ki lazzat thakan hamari samet lena firaq mein phir jo den sahaara hamare hissa ye khwab rakhna na dur jaana na hijr dena na mujh ko gharq-e-azab rakhna hamare lafzon pe ghaur karna bichhad ke tum se na chain paya khamoshiyon ko na rah dena na dil ko khana-kharab rakhna rafaqaton ke bhanwar mein mujh ko dubo dubo ke ubhaar dena har ek lamha nawaz dena na mujh se koi hijab rakhna tumhaari furqat ke karb kate main qatra qatra bikhar raha hun tum apni chahat ko meri khatir ba-surat-e-injezab rakhna jhulas chuke hain tamam jazbe unhen mohabbat se sinch dena zara si sakhti zara si narmi misal-e-ab-o-turab rakhna tumhaare jazbaat ki sadaqat wajud par abr ban ke barse nikhar sake zindagi ka mausam mere liye ye sawab rakhna