parinde

By basit-azeemFebruary 26, 2024
main in parindon ko jaanta hun
mere badan ko ye bant lenge
ki mere murda badan se yaro
ye mere aa'sab chhant lenge


main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
ki jin ki chonchen


lahu mein tar hain
ki jin ke panjon mein haddiyan hain
jo aasmanon ki wus'aton se bhi dekh lete hain
murda lashen


main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
jo apni manhus budhi aankhon se dekhte hain


mere badan ko mere badan ko
mere badan ko jis ke aa'sab sad chuke hain
ki jo ghalazat ka ek ambar ban gaya hai
ki jo ta'affun se apni puri faza ko masmum kar raha hai


main jaanta hun ki ye parinde
jo dekhte hain mere badan ko 'ajab tarah chashm-e-nim-wa se
ye meri aankhon ke band hone ke muntazir hain
ki band hote hi meri aankhen


19698 viewsnazmEnglish