purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai hua ek bar yun basti ke baghon mein kisi bhi ped ki tahni pe koi phal nahin aaya hare patton ka mausam laut kar wapas nahin aaya parinde ro diye aur dur ke baghon mein hijrat kar gae sare bahut aazurda ho kar baghbanon ne duaen kin munajaten padhin apne gunahon ki khuda-e-lam-yazal se maafiyan mangin aur kyariyan katin hare patton ka mausam laut kar wapas nahin aaya parinde laut aae the nai basti ke baghon se hare patton ki tahni tod lae the