main jab tharra pi kar bahkun apne aap se bahar niklun tum jab shauhar se uktao apne aap mein wapas jao qismat ko koso bahlao man banne ka dhong rachao apne andar ki bhuki mamta bahar ke bachchon mein banto takiya bhinche nangi chhat par so jao main be-qabu apni chhat se tumhaari nangi chhat par kudun chandni chandni tum ko chumun mitti mitti tum ko gundhun nind bhari aankhon se jagun aur tumhaara shauhar niche kamre mein adh-nangi taswiron se lipte siske rumani ash'ar likhe kate mustaqbil mutthi mein bhinche mazi ke tarik siyah-khanon mein gum ho jae nim-jaan sa bistar par pad jae hum mitti ki murat phir kis ke khauf se kanpenge patthar jab mitti ban jae