tabassum ki hawas ho barq ke aasar paida kar jo gar ye aarzu ho chashm-e-dariya-bar paida kar maraz hi kya mudawa jis ka aasan ho tabibon par na pahchane masiha jis ko wo aazar paida kar tujhe ai dil adu ko ho agar chubhti hui kahna to har har harf mein tezi-e-nok-e-khar paida kar agar is majlis-geti mein auron ko rulata hai dil-e-dard-ashna-o-dida-e-khun-bar paida kar tujhe ye himmat-e-mardana kahti hai ki aisa dil jo qabl az-maut hi marne pe ho tayyar paida kar tanaza-lil-baqa jari hai to maidan-e-hasti mein na ho jis ki sipar aisi koi talwar paida kar baqa-e-aqwiya ke masala par bahas se pahle tan-e-sohrab-o-zor-e-haidar-e-karrar paida kar jo is aalam mein chalna hai tujhe hukm-e-aiddu par to istedad-e-dafa-e-hamla-e-aghyar paida kar agar manzur hai tujh ko mile aalam ki chaupani to apne panw mein phir gardish-e-parkar paida kar agar hai chukna manzur quran ki tilawat se bara-e-zakhm-e-ghaflat marham-e-zangar paida kar agar teri tamanna hai ki shayan-e-khilafat ho to shauq-e-bandagi-e-wahid-e-qahhaar paida kar