har ek dilruba mila har ek ba-wafa mila jise tha pas-e-dosti wahi utha badha mila nashist jis ki dur thi qarib aa gaya mila peshawar aane ka mujhe sahi jo lutf tha mila hansi mili khushi mili khudi mili khuda mila raqib tha khicha khicha habib tha ghula mila nazar nazar ada ada main dekhta chala gaya gulon mein zindagi mili chaman mein dilkashi mili khushi gale lagi mili mili hansi khushi mili chaman chaman rawish rawish bahaar husn ki mili kahin banawaten milin kahin pe sadgi mili kahin pe zulmaten milin kahin pe raushni mili nazar kisi nigah se kabhi hati kabhi mili na tha koi jo tokta main dekhta chala gaya har ek samt khan hain shakil hain jawan hain na nun hain na nan hain ye sab ke sab pathan hain jihad in ki shan hai jihad ki ye shan hain ye ghaziyon ke hain pisar mujahidon ki jaan hain ye sab khuda-parast hain khudi ke tarjuman hain badi badi haweliyan bade bade nishan hain nazara-ha-e-dilruba main dekhta chala gaya 'ajib chiz hai yahan hasin raat ka saman nigah jis taraf karo chamak rahi hain bijliyan hasin log chaar-su sadak pe hain rawan-dawan 'imaraton ke samne jhuka hua hai aasman ki dekhne ki chiz hain idhar udhar yahan wahan secretariyon ki motaren kamishnaron ki kothiyan bahaar thi nikhaar tha main dekhta chala gaya ye khush-libas ladkiyan hasin hasin jawan jawan husul-e-‘ilm ke liye qadam qadam rawan-dawan khushi se dil mahak uthe nazar padi jahan-jahan khuli hui kitab mein sharafaton ki dastan haqiqaten simat gain thahar ke dam liya jahan sharab ki misal hain shabab ki ye surkhiyan ye inqalab ki ada main dekhta chala gaya hakim bhi hain pir bhi amir bhi kabir bhi assembly mein jalwa-gar bade bade wazir bhi ki jin ke wotaron mein hain aqil bhi kasir bhi unhin ke dam se aaj hai ye shahr-e-be-nazir bhi hamare leaderon mein hain shahir bhi basir bhi muqim is maqam par hain ek do safir bhi yunhi bas ittifaq tha main dekhta chala gaya gharib log ba-wafa amin-e-ghairat-o-haya dhani hain apni baat ke nahin hai khauf jaan ka masarraton ki baat kar musibaton ka zikr kya kabhi jo waqt aa pada bura bhala guzar gaya dahi qadim baat hai na kuchh ghata na kuchh badha ki shukr jin ki shan hai shikayaton se un ko kya phata hua libas tha main dekhta chala gaya ye sha'iron ki bazm hai ki 'arsa-gah-e-razm hai tarah tarah ki boliyan alag alag hain toliyan sukhan mein koi fard hai kisi ka rang zard hai hain in mein shahsawar bhi buzurg-e-ba-waqar bhi sabhi mein ye kamal hai har ek jagah ye haal hai mariz ho ki ho maraz mujhe kisi se kya gharaz musha’era zarur tha main dekhta chala gaya