pyar

By farida-khanumJune 18, 2021
kuchh kahte kahte rah jaana
aur rukte rukte kah jaana
ye pyar to aisa hota hai
jo dil mein dard samota hai


ab bhigi bhigi shamon mein
ek chehra har pal aankhon mein
hansta bhi hai rota bhi hai
dil mein dard dubota bhi hai


ki ek ehsas mitane ko
ki dil mein dard basane ko
har dhadkan mein har aangan mein
ki chhanke hath ke kangan mein


ye rang nazar bas aata hai
aisa aksar ho jata hai
dil ka dagh anokha hai
'khanam' ye sab to dhoka hai


85318 viewsnazmEnglish