qabristan ke nal par

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
bila sabab badbada rahe ho
jo phans gae ho
to kam-se-kam ab sawab hi dhang se kama lo
kaha tha main ne


ki nal chalane mein koi sajha nahin karega
magar kisi ki suni hai tum ne
are wo haalat aur the
jis mein har koi


har qadam pe kandha badal raha tha
par ab to tadfin ho chuki
bhid mutmain hai
ki aaj bhar ka sawab us ne kama liya hai


to kaun aage badhega bolo
so kaun kitna bura hai ye baat bhul kar
sirf nal chalao
chalae jao


ki jab talak bhid mein har ek khas-o-'am ke
panw dhul na jaen
19649 viewsnazmEnglish