bangal ki main sham-o-sahar dekh raha hun har chand ki hun dur magar dekh raha hun iflas ki mari hui makhluq sar-e-rah be-gor-o-kafan khak-ba-sar dekh raha hun bachchon ka tadapna wo bilakna wo sisakna man-bap ki mayus nazar dekh raha hun insan ke hote hue insan ka ye hashr dekha nahin jata hai magar dekh raha hun rahmat ka chamakne ko hai phir nayyar-e-taban hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hun khamosh nigahon mein umandte hue jazbaat jazbaat mein tufan-e-sharar dekh raha hun bedari-e-ehsas hai har samt numayan be-tabi-e-arbabe-e-nazar dekh raha hun anjam-e-sitam ab koi dekhe ki na dekhe main saf un aankhon se magar dekh raha hun sayyaad ne luta tha anadil ka nasheman sayyaad ka jalte hue ghar dekh raha hun ek tegh ki jumbish si nazar aati hai mujh ko ek hath pas-e-parda-e-dar dekh raha hun