qaidi
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
ek bar apna bana kar jo mujhe chhod gai
usi ruthi hui khushbu ka pujari hun main
har guzarti hui aawaz bulati hai mujhe
lamha lamha meri pursish ke liye aata hai
subh ki pahli kiran puchhti hai nam mera
sham ka saya mujhe chhu ke chala jata hai
har daricha mujhe takta hai badi hasrat se
aur hawa dhundhti phirti hai mere gham ke charagh
mujh se har raat ye kahti hai meri samt aao
mujh se har chand ne mange hain meri ruh ke dagh
main kisi ko na sunaunga kahani apni
kuchh kahunga to main us rah mein kho jaunga
aur jis roz ye zanjir meri tut gai
mujh ko dar hai main kisi aur ka ho jaunga

87730 viewsnazm • English