qasam us badan ki

By zahid-hasanNovember 29, 2020
qasam us badan ki
aur qasam us badan par khile phulon ki
rut bahaar ki hai aur hawa ki ranon mein mahak khili hai
ab tak


brassiere mein tani un chhatiyon se
parinde apni chonchon mein sher bhar ke late hain
aur mohabbat ki abdiyat ke git gate hain
lai mein jin ki hararat un shabon ki hai


guzrin jo qurbat mein tere badan ki
gahri aankhon wali gham-gusar shaben
batn mein jin ke sadiyan gunjti thin
lekin abdiyat kis ko thi


ma-siwa us lahraati jumbish ke
(jaise tanpure pe ghair iradatan pad gai ho)
aur ta-der dard mein dubi aawaz
tere badan se ubharti thi


ye dard kya tha?
ki har subh lazzat jis ki labon pe
papdiyon ki manind jami hoti
tere labon pe


mere labon pe
bahaar bahut thi chaar-su baghon mein
aur sadkon ki virani mein
shamen jo istada thin


diwaron ki manind hamare mabain tani rahin
tarik shabon mein jab
sarma ki tez hawaen chalti thin
udasi teri pindliyon mein sarsaraati thi


tere kanpte badan ki khushbu
lahariye leti sarshaari mein
yun dubti ubharti thi
goya!


aur meri ungliyon ki poron mein sulagti thi jo aag
teri chhatiyon ki golaiyon ko mapti
paimaish tere badan ki thi
paimaish zindagi ki


din bit gae!!
aur khwab hamare apne apne badan kinare
jalte rahe charaghon ki tarah
aur main ki ab tak


yaad ke pedon se mohabbaton ke phul chun chun kar
dil ke tasht mein dharta jaun
teri maujudgi ki talab mein
15522 viewsnazmEnglish