tamam shab mere kamre ki zard khidki par kabhi hawaon ke jhonkon ne aa ke dastak di kabhi dhadakti hui tirgi ne sar patkha kabhi simatti bikharti si sard bundon ne khamosh shishe ki diwar se gale mil kar wo ek baat ba-andaz-e-mahramana kahi jo main ne shab ki mahakti hui khamoshi mein rafiq-e-rah-e-mohabbat se walehana kahi wo raat jis mein sar-e-dasht aasman baadal khanakte motiyon ki dil-nawaz rimjhim mein zamin ki tishna dahani ke raaz khol gaya shafaq ke rang muradon ki shab mein ghol gaya phir aaj raat falak par tana hai khema-e-abr barasti bundon se raushan hain zehn mein shamen chhaton pe nachti phirti hain be-zaban pariyan lahu mein raqs-kunan hai tamazat-e-khurshid khumar-e-qurb-e-dil-ara ki ho gai taid larazti bundon ke ye jaan-gudaz shish-mahal khule hue hain kisi dard-ashna ke liye taras rahe hain kisi jashn-e-be-sada ke liye dayar-e-shab mein badi der se udas hun main nazar utha ke mujhe dekh tere pas hun main