ai qutub-minar ai bhaarat ki azmat ke nishan har ghadi saya-fagan rahta hai tujh par aasman tere har ek sang mein pinhan hai teri dastan dida-e-hairat se takte hain tujhe ahl-e-jahan sar-bulandi par teri hum hindiyon ko naz hai tu hamari khushnuma tarikh ka ghammaz hai tera maskan arz-e-dilli rashk-e-husn-e-koh-e-qaf chand-suraj roz tere gird karte hain tawaf sari duniya ko hai teri azmaton ka e'tiraf tujh se hota hai hamari qaumiyat ka inkishaf teri sannai zamane ke liye pur-pech hai aaj bhi paris ka tower tere aage hech hai tu hamari shan-o-shaukat ka hai tabinda gawah tujh se raushan hai hamare ilm-o-fan ki shahrah tujh pe padte hi chamak uthti hai hairat se nigah tu hamara pasban hai tu hamara khair-khwah tarjuman-e-waqt hai tu rahnuma-e-fan hai tu han libas-e-sang mein ek paikar-e-ahan hai tu