koi dekhe to zara raat ki rani ka jamal rukh pe ghaze ki mahak itr mein aaluda libas allah allah ye hai phul bhi kitna khud-bin husn-o-ranai ka kis darja ise hai ehsas marmarin rang subuk jism dahan chhota sa lambi gardan kisi mai-kash ki surahi jaise shakh-e-nazuk pe chamakta hai shab-e-rangin mein kisi tute hue tare ki tajalli jaise din ke auqat mein ye phul nahin khilta hai raat ke waqt hi ithlata hai ye simin-tan shab ke parde hi mein karta hai ye aaraish-e-rukh is ki zulfon se mahak uthte hain gulzar-o-chaman din mein dekhe to koi us ki pareshan-haali chehra utra hua khamosh fasurda munh band koi doshiza hai jo rahti hai din mein ghamgin shab ke aate hi ye ho jati hai laila khursand din mein ye malgaje kapdon mein nazar aati hai raat mein karti hai aaraish-e-zulf-o-rukhsar din mein rahti hai ye nazura-e-gul parde mein raat ke waqt dikhati hai jawani ki bahaar apne aashiq se mulaqat ki khatir dam-e-shab kunj-e-gulshan mein pasand aai rihaish is ko mujh ko is phul pe shirin ka guman hota hai apne farhad se hai wasl ki khwahish is ko