aasman tuta hua chand hatheli pe liye hansta hai raat aazurda sitaron se sukhan karti hui rahguzaron pe dabe panw chali aai hai bhig jati hai kisi aankh mein aansu ban kar phail jati hai kisi yaad ki khushbu bin kar kahin tute hue paiman-e-wafa jodti hai mauj-e-mai ban ke chhalak padti hai paimanon se dil ka ahwal suna karti hai diwanon se aasman chand se khali hua aur ab koi sitara bhi to rakhshanda nahin raat be-nur guzar-gahon pe chalte hue afsurda hai nam-dida hai ek sannata tarasta hua aawazon ko be-ziya karta hua raat ki mehrabon ko