radd-e-tashkil

By abid-razaJanuary 14, 2025
ek din achanak
kai lafz
munkir-nakir ki tarah
jhapak se meri qabr mein ghus aae


aksar ki peshani par sawalat ke achambhe the
pareshani ki baat to thi hi
main ne fauran google aur wikipedia ke waste dene shuru' kiye
bas phir kya tha


sare lafz
mere samne raqs karte hue
jhat-pat rang-birangi aawazen pahan kar
ek dusre se lipat gae


zara si der mein
sare rang aapas mein ulajh gae
aur ek buddha ullu
ye aahani takhti mere gale mein dal gaya


jis par be-rang khat mein kunda hai
aaj se ye bad-bakht darida-dimagh
lafzon par chadhe rang khurcha karega
ki yahi is ki saza hai


tab se main isi mashaqqat mein laga hun
aur muntazir hun ki gale mein padi hui takhti par laga zang mujhe kab nazar aaega
42564 viewsnazmEnglish