koi mast-e-baada-o-jam hai koi mahw-e-raqs-o-khiram hai koi sarf-e-sher-o-kalam hai koi mahw-e-tegh-o-niyam hai mujhe do na rang ki dawaten mere dil ki aankh mein ram hai mujhe koi rog satae kyun mujhe koi ranj rulae kyun mere dil ko aag jalae kyun meri khak charkh udae kyun mujhe khauf-e-gard-e-alam nahin mere dil ki aankh mein ram hai na hai aankh ko koi justuju na hai qalb ko koi aarzu na hai zauq-e-sair-e-bahaar-ju na hai shauq-e-shohrat-e-ku-ba-ku mera dil dalil-e-bahisht hai mere dil ki aankh mein ram hai hai chaman ko khwahish-e-rang-o-bu hai guhar ko khwahish-e-abru hai ghata ko barq ki justuju hai hawa ko sans ki aarzu mujhe aarzu hai na justuju mere dil ki aankh mein ram hai na sharar-e-fisq-o-fujur hai na hawa-e-kibr-o-gurur hai na fareb hai na futur hai mere ghar mein nur hi nur hai mere dil se puchh na ham-nashin mere dil ki aankh mein ram hai kaha phul ne mujhe phul kar mere aab-o-rang pe kar nazar meri aab aab-e-hayat-asar mera rang rang-e-wafa-samar meri zau bahaar-e-nigah hai meri bu bahaar-e-masham hai kaha main ne hans ki ai be-khabar na bahaar-e-haal pe naz kar teri aab aab-e-sarab-asar tera rang rang-e-fana-samar meri zindagi ko dawam hai mere dil ki aankh mein ram hai