raqib
By sumita-misraFebruary 29, 2024
tum ghair nahin main ne mana
phir bhi jab mere ghar aana
lazim hai tumhaara
zara takalluf se pesh aana
jahan main rahti hun
wahan zamana raqib hai
kyon be-wajah subut den
kaun kitna qarib hai
phir bhi jab mere ghar aana
lazim hai tumhaara
zara takalluf se pesh aana
jahan main rahti hun
wahan zamana raqib hai
kyon be-wajah subut den
kaun kitna qarib hai
79269 viewsnazm • English