rasad-gah

By abid-razaJanuary 15, 2025
hamesha sochta hun main
ye ek nili si chhatri
jo mere sar par tani hai
is ke pichhe


aur kya hai
kabhi main khwab ke sayyarche mein baith jata hun
'aqidat-gah se mangi hui 'ainak lagata hun
guman ke asp-e-tazi par kamal-e-barq-raftari dikhata hun


khirad ke gumbadon mein sargiran
aflak ki wus'at
sitaron aur sayyaron ki toli
fasil-e-dahr mein bante bigadte


ye siyah rauzan
main un ke par jaana chahta hun
magar ek bar phir ye sochta hun
abhi to mujh ko apne pair ke niche ki mitti ka pata ma'lum karna hai


main saton aasman ki gardishon se kyon pareshan hun
ki apni ye zamin bhi to
isi unche falak mein hi mu'allaq ghumti hai
69635 viewsnazmEnglish