rang bujhne lage hain aankhon mein buildingen jugnuon si lagti hain chand tare kahan hain kya ma'lum ladkiyan phul se badan wali ek zara pas se guzarti hui jo mera dard bant leti hain so chuki hongi apni qabron mein ab kahin zindagi ka nam nahin bhuk ne panw bandh rakkhe hain phir bhi chalne pe hun ba-zid ki abhi chand lashen hain hasraton ki jinhen subh se pahle dafn karna hai bojh kuchh kam ho to kahin baithun aur phir baithe-baithe so jaun phir koi khwab dekhun kal ke liye abhi ek roz aur jina hai