regression

By ali-ejaz-tamimiApril 22, 2023
ajib si sada suni
sada-e-be-riya suni
jo nafraton ke bab hain
jo makr ke sarab hain


jo aql ke jawab hain
haqiqaton se dur-tar
hijab-dar-hijab hain
jo bughz hain inad hain


yaqin karo azab hain
azab sah rahe ho kyon
dilon ke tar jod do
ye nafraton ki bediyan


mohabbaton se tod do
na nafraton ka zor ho
na zulmaton ka daur ho
na siskiyon ka shor ho


na hirs ho na jaur ho
jahan koi aur ho
jafa jahan haram ho
wafa ka faiz aam ho


sukun ho aman ho
dilon mein itminan ho
hayat yun hasin ho
ki rashk jannaten karen


zamin wo zamin ho
samaaton ko chhin lo
magar mujhe yaqin hai
ye gunj phir sunoge tum


palat ke laut aaegi
yahi sada-e-be-riya
dilon ko khatkhataegi
samaaton ko chhin lo


magar mujhe yaqin hai
yaqin hai yaqin hai
ye bar bar aaegi
sunoge bar bar tum


ye aam si sada nahin
ki ishq bazgasht hai
ye ishq bazgasht hai
ye ishq bazgasht hai


70174 viewsnazmEnglish