restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre qabron ke katbon par jaise masle masle sehre ek sahib jo soch rahe hain pichhle ek pahar se yun lagte hain jaise bachcha ruth aaya ho ghar se kafi ki pyali ko labon tak laen to kaise laen baire tak se aankh mila kar baat jo na kar paen kitni sanjida baithi hai ye ahbab ki toli kitne auj-e-balaghat par hai khamoshi ki boli sari quwwat chus chuki din bhar ki shahr-nawardi mathon mein se jhank rahi hai marti dhup ki zardi lambi lambi palken jhapke ek sharmili bi-bi baalon ki tartib se jhalke zehn ki be-tartibi shauhar ko dekhe to lajae laj ko ot banae har aane wale par ek bharpur nazar daudaye ek ladki aur tin jawan aae hain kase-kasae sanwle rup ko gore mulkon ka bahrup banae baaton mein nakhwat baghon ki wahshat sahraon ki aankhon ke chulhon mein bhari hai rakh tamannaon ki apni apni uljhan sab ki apni apni rae sab ne aansu rok rakhe hain kaun kise bahlae har shai par shak ho to jina ek saza ban jae mehwar hi maujud na ho to gardish kis kaam aae qahqahe jaise khali bartan ludhak ludhak kar tuten bahsen jaise honton mein se khun ke chhinte chhuten husn ka zikr karen yun jaise aandhi phul khilae fan ki baat karen yun jaise baniya sher sunae sukdi simti ruhen lekin jism hain dohre tihre restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre