kabhi hum khub-surat the kitabon mein basi khushbu ki surat sans sakin thi bahut se an-kahe lafzon se taswiren banate the parindon ke paron par nazm likh kar dur ki jhilon mein basne wale logon ko sunate the jo hum se dur the lekin hamare pas rahte the nae din ki masafat jab kiran ke sath aangan mein utarti thi to hum kahte the ammi titliyon ke par bahut hi khub-surat hain hamein mathe pe bosa do ki hum ko titliyon ke jugnuon ke des jaana hai hamein rangon ke jugnu raushni ki titliyan aawaz deti hain nae din ki masafat rang mein dubi hawa ke sath khidki se bulati hai hamein mathe pe bosa do hamein mathe pe bosa do