faiz le kar 'mir' se aaya hua dekhiye ek shakhs itraya hua har sukhanwar se yahi kahta hai ab mustanad hai mera farmaya hua manta hun ye baja hai thik hai us ne jo jitna kaha hai thik hai ye naya uslub lae kis tarah sher mein jiddat dikhae kis tarah us ka har ek lafz hai manga hua yani ab tak jo kaha hai bhik hai us pe khulte hi nahin gham baad ke ahd-o-asr-e-khanaman-barbaad ke 'mir'-o-'ghaalib' ka zamana aur hai ahd-e-hazir ka fasana aur hai us ko kya malum kya se kya hue hae kitne hashr hain barpa hue us ko kya malum ghurbat ki ghadi khwab sare ek pal mein mar gae us ko kya malum chhin jaane ka gham jaan se pyare bhi apne na rahe us ko kya malum hai aqsa ka dukh jab nihatton par bhi missile chale us ko kya malum ki kashmir mein kis tarah se maon ke bete kate us ko kya malum sunami ka din shahr pal mein dub kar maidan bane us ko kya malum nau gyarah ke baad kis tarah ke zulm the dhae gae us ko kya malum bam ke zor par jurm mazlumon se manwae gae us ko kya malum karobar hai jang ka maidan bikte aslahe hum sunaen gar huruf-e-agahi bhul jae har dalil-e-shaeri ungliyan kanon mein de kar zor se chikh mare aur mar jae abhi