junhi suraj chadhta hai chuza uth kar padhta hai chun-chun chun-chun chun-chun chun-chun pahle bismillah kahun phir main apna sabaq padhun subh sawere uthte hi apne rab ko yaad karun khane pine se pahle chonch ragad kar saf karun itna to hai yaad mujhe ammi aage kya sikhun murghi kat kat karti hai khush ho kar yun kahti hai mera chu chu shad rahe shad rahe aabaad rahe padhne hi se 'izzat hai baat ye beta yaad rahe jahil log zamane mein khwar hue barbaad rahe sikhen aur sikhaen jo ban kar wo ustad rahe bas tu bhi mehnat se padh sab logon se aage badh