jis jahan mein meri aawaz ne mujhe chhoda tha wo ab meri samaat se pare hai mujhe kuchh sunai nahin deta mushkil ye hai ki aadmi bahut kuchh sun sakta na dekh sakta hai phir bhi shayad kuchh aisa hota hai ki kisi bhi marne wale aadmi ki aankhon ki kagar par jab us ki jaan thahar jati hai tu us ke nam ka parinda use achanak uda le jata hai ye maut hoti hai siwae is ke ki marne wala use dekh nahin sakta mujhe yaad nahin ki main ne kis se mohabbat ki aur kis se nafrat ki siwae is ke ki main ne wo sare gunah kiye jo mujhe is liye yaad hain ki ek umr tak unhen mujh mein rachaya basaya aur khilaya pilaya gaya mujhe yaad hai ki main ne koi aisi ghiza nahin khai jo meri ruh mein utar jati mujhe yaad hai ki main ne koi aisa libas nahin pahna jo mere baatin mein utar jata main zindagi bhar bhuka raha aur nanga raha yahan tak ki mere pas rah-e-haq mein kuchh dene ke liye bhi nahin na koi neki na koi burai