larazte sayon se mubham nuqush ubharte hain ek an-kahi si kahani, ek an-suni si baat tawil raat ki khamoshiyon mein dhalti hai fasurda lamhe khalaon mein rang bharte hain sadaen zehn ki pinhaiyon mein gunjti hain khizan ke sae jhalakte hain teri aankhon mein teri nigahon mein rafta bahaaron ka gham hai hayat khwab-gahon mein panah dhundti hai fasurda lamhe khalaon mein rang bharte hain ye gardish-e-mah-o-sal aazma chuki hai jinhen ye gardish-e-mah-o-sal aazma rahi hai hamein magar ye soch ki anjam-e-kar kya hoga dawam tera muqaddar hai aur na mera nasib dawam kis ko mila hai jo hum ko mil jata? ye chand lamha agar jawedan na ho jate main sochta hun ki apna nishan kya hota kahan pe tutta jabr-e-hayat ka afsun kahan pahunch ke khayalon ko aasra milta? fasurda lamho, abhi aur be-karan ho jao fasurda lamho, aur be-karan ho jao