sal-e-nau 1

By suleman-khumarOctober 4, 2023
january ki subh-e-awwal ne
unnis sau assi baras ke aakhiri zine se
jab jhanka
samandar so raha tha


ya
samandar ne
january ki subh ke zine se
jab jhanka


unnis sau assi baras soe hue the
ya
unnis sau assi baras ne
samandar se ubhar kar jab dekha


january ki subh-e-awwal so rahi thi
81010 viewsnazmEnglish