ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko tamanna raqs karti hai takhayyul gungunata hai tasawwur ek nae ehsas ki jannat mein le aaya nigahon mein koi rangin chehra muskuraata hai jabin ki chhut padti hai falak ke mah-paron par ziya phaili hui hai sara aalam jagmagata hai shafaq ke nur se raushan hain mehraben fazaon ki surayya ki jabin zohra ka aariz timtimata hai purane sal ki thithuri hui parchhaiyan simtin nae din ka naya suraj ufuq par uthta aata hai zamin ne phir nae sar se naya rakht-e-safar bandha khushi mein har qadam par aaftab aankhen bichhata hai hazaron khwahishen angdaiyan leti hain sine mein jahan-e-arzu ka zarra zarra gungunata hai umiden dal kar aankhon mein aankhen muskuraati hain zamana jumbish-e-mizhgan se afsane sunata hai masarrat ke jawan mallah kashti le ke nikle hain ghamon ke na-khudaon ka safina dagmagata hai khushi mujh ko bhi hai lekin main ye mahsus karta hun masarrat ke is aaine mein gham bhi jhilmilata hai hamare daur-e-mahkumi ki muddat ghatti jati hai ghulami ke zamane mein izafa hota jata hai yahi andaz gar baqi hain apni sust-gami ke na jaane aur kitne sal aaenge ghulami ke
This is a great raksha bandhan shayari marathi. True lovers of muskurati shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sharab khuda shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!