saliqa shart hai bas
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
saliqa shart hai bas
agar itna hunar bhi sikh len hum
ki ek khargosh ko kaise uthaya jae kanon se pakad kar
ki ek billi ke bachche ko agar hum chhedna chahen
to gardan par wahan chutki bharen
jahan se man use munh mein daba kar ghar badalti hai
to phir sab ko yahan tafrih ke saman muhayya hain
to phir chhota bada koi
shikayat kar nahin sakta
khilaunon ki

37040 viewsnazm • English