samosa

By kaleem-chughtaiApril 7, 2023
chori-chhupe khate hain kuchh insan samosa
hain wo bhi jo khaen alal-ailan samosa
ho nashte mein lunch mein phir ho ye dinner mein
bas un ka chale to mile har aan samosa


panwadi ne kata jo musallas ki tarah pan
bole ki ye lagta hai mujhe pan samosa
malhaar wo gaen ya koi ragni chheden
har bar lagate hain wahi tan samosa


yun to wo sakhi dil ke hain lekin jo ho mumkin
har ek gadagar ko karen dan samosa
daftar mein jo zohrana diya jata hai sab ko
wo chahte hain roz mile nan samosa


gham ka koi mara go ho kitna hi fasurda
lata hai labon par nai muskan samosa
khaen jo samosa to hai lazim rahen mohtat
ye ho na shikam mein lage paikan samosa


naqis kisi bhi shai se bana khaen na warna
kar dega zarur aap ko halkan samosa
yun to hai ye kam-qimat-o-khush-zaiqa khurak
is ne mujhe dilwaya hai diwan samosa


ashaar khuda-dad hain ye shukr hai rab ka
yakja hue hain sab ye ba-unwan-e-samosa
92991 viewsnazmEnglish