daman-e-gul qaba-e-saba chehra-e-sahar hain mustaar jis se ye sare tasawwuraat wo shakhs mere man ka mere zehn ka jamal wo shakhs meri jaan-e-ghazal jaan-e-fikr-o-fan sheron mein us ke husn ki tahdariyon ka aks har gosha-e-nigah dhanak-rang ek jahan jaise shafaq faza-e-sukhan par muhit ho jaise kiran ubharte hue mahtab ki daman mein harf harf hai sahba liye hue khushbu ka raushni ka sarapa liye hue