koi to ho is jahan mein aisa ki jis ke bas mein ho sari duniya ki sarhadon ki sabhi lakiren jahan ke naqshe se ek pal mein kisi jatan se mita ke rakh de ye aahani khar-dar taren zamin ke sath dil ke rishte bhi bantti hain kai dilon mein tawil arse se chubh rahi hain koi to un ko ukhad phenke koi to ho jo tamam duniya ko ek khitte ki shakl de de agar koi moajiza dikha de to sare insan jab bhi chahen phir apne pyaron se mil sakenge baghair wisa ki bandishon ke sahulaton se masarraton se phir is ke badle agar wo mujh se meri mata-e-hayat mange to ek pal ko bhi main na sochun khushi khushi us ko dan kar dun