yahan in silwaton par hath rakh dun ye lahren hain bahi jati hain aur mujh ko bahati hain ye mauj-e-baada hain saghar ki khwabida-faza dil mein achanak jag uthti hai haqiqat ke jahan se koi is duniya mein dar aae to us ke hont mutabassim hon shayad qahqaha uth kar mere dil ko jakad le apne hathon se magar main ye samajhta hun ki ye lahren abhi tak sahili manzar se na-waqif hain yunhi ek bahana kar rahi hain ek bahana kis ko kahte hain bahane hi bahane hain badha kar rakh diya lahron pe main ne hath mera hath ek kashti ki manind ek mauj-e-tund ki uftad ke jalwe ko mere samne la kar hua hai gum ye sab mauj-e-takhayyul ki rawani thi magar main sochta hun baat jo kahne ki thi main ne na kyun pahle hi kah di waqt ka be-faeda masraf har ek poshida manzar ko ugal dalega ek lamha wo aaega ki jab is baat ke sunne pe sunne wale sochenge bahana kya tha silwat kya thi mauj-e-baada bhi kya thi magar shab ki andheri khalwat-e-gumnam ke parde mein kho kar un ko ye malum ho jaega ek pal mein aur ek lazzat ke kaif-e-mukhtasar mein kho ke wo be-sakhta ye baat kah utthenge kya mujh ko ijazat hai yahan in silwaton par hath rakh dun ye jhijak kaisi ye lahren hain inhen nisbat hai kali raat ke ghamnak dariya se jo bahta hi chala jata hai rukta hi nahin pal ko jise kuchh bhi gharaz is se nahin main hath rakkhun ya jhijak us hath ko mere kaleje se laga de aur main so jaun in lahron ke bistar mein kaleje se laga de aur main so jaun in lahron ke bistar mein