wo kaisa tere jism ka khwab tha ki jis ke lahu mein sharare uchhalte rahe kab jale aur bujhe khwab hai wo hawa jo unhen chhu gai sans ban kar abhi maujzan hai rag-o-pai mein lekin sharare kahan hain lahu be-sabab ghumta hai ghulamana gardish hai kolhon mein jakde hue bail ki jis ki aankhon pe patti bandhi hai ek andha safar hai azal ta abad kya yahi thi tamanna ki duniya bane aur suraj ke atraf chakkar lagati rahe