sawal
By syeda-farhatNovember 22, 2020
ammi jawab dijiye mere sawal ka
aata nahin samajh mein ki ye kya hai majra
karti hain aap hum ko nasihat ye bar bar
hota hai jhut bolne wala gunahgar
kya baat hai magar ki jo ham-sai aai thi
nanhe ki umr aap ne kyun kam batai thi
abba the ghar mein aaj magar un ke dost se
ghar mein nahin hain wo ye kahlwaya kis liye
chacha mithai lae the parson jo sham ko
di thi hamein to aap ne thodi si nam ko
us ko chhupa ki kahne lagin khatm ho gai
us waqt jhut kahna na thi baat kya buri
ammi hamein na ghusse se aankhen dikhaiye
kya waqai hai jhut bura ye bataiye

37463 viewsnazm • English