sawan

By suhail-kakorviNovember 22, 2020
us ki palkon pe ghata ban ke jo chhaya sawan
phir to main hans pada kuchh is tarah barsa sawan
chadhte suraj ke shuaon se jo barsa sawan
main ne dekha na suna tha kabhi aisa sawan


sari jaan khinch ke chali aai meri aankhon mein
phul ki tarah khile zakhm jo aaya sawan
khirman-e-sabr ko bijli ne jalaya gir kar
jab kabhi dil ki tamannaon se uljha sawan


barq-o-baran to hai taswir-e-hayat-e-insan
hans ke rone ka dikhata hai tamasha sawan
yun to pahle hi samete tha hazaron jalwe
husn ke aks se kuchh aur bhi nikhra sawan


har taraf phul khile rang ke baadal barse
ai 'suhail' us ki nigahon ne sajaya sawan
52882 viewsnazmEnglish