zamin meri nazron mein ai mirrikh tera darja aala hai bulandi par tu rahta hai teri qismat bhi baala hai mirrikh bulandi aur pasti ka kabhi dhoka nahin khaen zamin upar dikhai de agar mirrikh par aaen zamin tujhe mana hai dewta jang ka nadan logon ne tabahi ka diya ilzam tujh ko rome walon ne tujhe bhaarat ke danish-war sada manhus kahte hain tujhe kahte rahe mangal kabhi jallad kahte hain bata ai surkh sayyare tere haalat kaise hain tere talab kaise hain tere baghat kaise hain tere pakiza daman mein manazir kaise kaise hain teri aaghosh ke andar nawadir kaise kaise hain mirrikh nahin mirrikh par jhilen na chashma hi ubalta hai samundar hai na dariya hai na koi moti milta hai na bulbul ke tarane hain na koi gul mahakta hai parinda bhi nahin koi khushi se jo chahakta hai yahan jugnu nahin koi jo zulmat mein chamakta hai na hira aur nilam hai hamesha jo damakta hai hawa ka koi jhonka hai na sabza lahlahata hai na battakhon ki qataren hain na tair chachahata hai nasim-e-subh chalti hai na baadal aur pani hai na gulshan hai yahan koi na maujon ki rawani hai mere qutbain ko dekho wahan yakh-basta pani hai yahi pani yahan par zindagani ki nishani hai zamin ke log kahte hain ki nahron ki rawani hai haqiqat mein nahin aisa faqat jhuti kahani hai yahan surat nazar aati hai aabshaaron ki nazar aati hai kasrat har taraf sanglakh ghaaron ki yahan hai gahra sannata khamoshi ki hukumat hai faza bhi khushk hai meri nahin koi ratubat hai zamin sharik-e-bazm ho mister atarid tum bhi kuchh bolo zaban par lag gaya tala to is mahfil mein tum kholo atarad padosi hun main suraj ka namuna hun jahannum ka yahan shiddat ki garmi hai to mumkin hi nahin jina zamin mere nazdik ho zohra bahut rakhshanda sayyara yahan sab log kahte hain ki tum ho subh ka tara zohra munawwar mera chehra hai main garmi ka mara hun zamin hai mujh ko pyari main zamin walon ka pyara hun zamin azimushshan jussa hai hamari mantari tum ho jise zeba hai sardari wo be-shak mushtari tum ho mushtari bada hai jism mera aur zinat kuchh nahin mujh mein bada sa gol-gappa hun sabahat kuchh nahin mujh mein zamin hamari anjuman mein ai zuhal tum hi nirale ho tumhaare gird halqa hai anokhi shakl wale ho zuhal gale mein tauq hai mere meri surat nirali hai agar nazdik se dekhen to ye shai tez aandhi hai nazar aata hai jo halqa wo hain chhote bade patthar lagate hain badi tadad mein chaaron taraf chakkar zamin mere do bhai hain aage tumhaara haal kaisa hai wahan hai kaifiyat kaisi wahan mahaul kaisa hai uranus yahan shiddat ki sardi hai lihaza main bhi thanda hun zara meri taraf dekho bada sa gola ganda hun neptune mujhe neptune kahte hain usi kumbe ka hun member bahut duri hai suraj se lagata hun bada chakkar mirrikh main pahuncha is natije par zamin par khush-numai hai khuda ne phul aur paudon se ye duniya sajai hai zamin par zindagi hai husn hai aur dilrubai hai mujhe ulfat zamin se hai wahi dil mein samai hai wahan aabaad hain insan wahan shan-e-khudai hai hamari kahkashan mein aisi qismat kis ne pai hai