school-teacher

By faragh-rohviOctober 29, 2020
school ke hamare
ustad pyare pyare
hum ko padha rahe hain
insan bana rahe hain


kya kya nahi sikhaya
yun hausla badhaya
baat an-suni batai
duniya nai dikhai


ki dur har burai
tahzib bhi sikhai
karna nahi ladai
hoti hai jag-hansai


hote hain bap saya
un se ye dars paya
talim ka asar hai
uncha hamara sar hai


un ka jo ye amal hai
ehsan-e-be-badal hai
un ki karenge izzat
pate rahenge shafqat


khubi 'faragh' ne bhi
ustad ki bayan ki
85313 viewsnazmEnglish