jab ban siyah raat ke taron se bhar gae kunj-e-chaman mein chamke shagufe nae nae mujh ko hawa ne baat sujhai ajib si baadal mein ek shakl dikhai ajib si chand aasman ki sej pe soya hua mila rang-e-gul-e-anar mein luthda hua mila ai aashiqan-e-husn-e-azal ghaur se suno main barg-e-be-nawa to nahin hun ki chup rahun dil ke kisi bhi shole ko uryan na kar sakun main tegh hath mein liye su-e-falak gaya jazbon ke ras se mahke hue chand tak gaya kafi tha ek war meri tegh-e-tez ka mahtab ke badan se lahu phut kar baha