is daur ke hain qissa-go hum shahr-zadon ki suno ye dastan-e-zist hai kuchh khwab ki tabir hai kuchh dard ki tamsil hai aaindagan ka shahr ya hai raftagan ki aarzu ek gahma-gahmi ku-ba-ku phaili hui hai chaar-su ijad-dar-ijad hoti khwahishen aur justuju har samt mein badhta hua ye kar-zar-e-rang-o-bu aasaishon ke is ghane jangal mein tanha main ki tu hum mashal-e-ashufta lau hum shahr-zadon ki suno aur aasman se baaten kartin un fasilon ka ye jal is jal mein mahbus hoti roz-o-shab ye zindagi is zindagi se munqalib hoti hui waraftagi har aan hai koi khalish har pal ki jaise tishnagi har haal mein phir bhi muqaddam kawish-e-asudgi hum aasman ke rah-rau hum shahr-zadon ki suno is kucha-o-bazar mein ajnas ke ambar hain fitrat se koson dur hain ye jo bhi karobar hain is daud mein sab log hi paiham subuk-raftar hain apni mashini zindagi hum aadmi bezar hain lekin hamare hausle is daur ke meamar hain hum se mili taron ko zau hum shahr-zadon ki suno hai khud-faramoshi pe ghaalib khud-farebi ki chubhan takrar se tabir hain ye zindagi ke mah-o-san yaksaniyat ke dasht mein khulta hai nudrat ka chaman mayus jazbon se idhar kuchh kar dikhane ki lagan bim-o-raja ke darmiyan hum shahr-zade hain magan hum shahr-zadon ki suno hum raqim-e-tarikh-e-nau